Sunday, March 1, 2009

Jaan-e-aarzoo

har samt ayaaN haiN khumaar ki baateiN
tehreer.e ishq, fiza-o-bahaar ki baateiN
jiski khushbu se mehakta hai gulistaaN
us dida.e namnaak gulzaar ki baateiN
dhoondey jisey ye khana.e dil har soo
us rehnuma.e dil, kuu.e yaar ki baateiN
rujuu kiya qiblaru is qalb.e muztar ko jisne
us jaan.e aarzoo ke parastaar ki baateiN
gah-gah hi nikalta hai jo mahtaab is falak se
roz-o-shab dohraun us hi rukhsaar ki baateiN

''Fais''