Tuesday, December 2, 2008

Tu pila tou kabhi sharab.e deed


Uljhi uljhi woh yaar ki baateN
Kitnee dilkush theeN pyaar ki baateN
MeetHe lafzoN se Dakaa Daalta hai
looT leti haiN yaar ki baateN

Aa gaye tum tou miT gaye shikwey
ChoRo ab intezaar ki baateN
Ek nashsha sa hone lagta hai
Jab woh karta hai pyaar ki baateN

Mujh ko dekar KhazaaoN ki sauGhaat
Kar raha hai bahar ki baateN
Tu pila tou kabhi sharab.e deed
Phir kareNge khumar ki bateN

“Aarzoo” is taraf haiN uske fareb
Us taraf etbaar ki baaateN
"aarzoo"

Hmmmmmmmm...
ahsaasoN se kaho ke hijaaboN mein raheiN
sar-e-aam na kareiN wasl-e-yaar ki bateiN

ye ishq-e-deedar nigahoN mein rakho
kar na deiN badnaam khumaar ki baateiN
fais..!!



No comments: